Rules of Chess- @TriviaMentor96 #knowledge #fact #ytshorts #trending #chess #chessgame

@TriviaMentor96
Kya aapne kabhi chess khela hai ya fir chess khelna chate hai but aapko uske rules ya fir use kaise khele ye nahi pata hai to ye video sirf aapke liye hai Chess ek two-player strategy board game jisme uske pieces ko ek 8×8 ke grid jisko chessboard kehte hai usi ke andr chalna hota hai . Dono player 16 pieces sath game start karte hai jisme ek raja ya king , ek wazeer ya queen 2 hathi ya rooks , two ghode ya knight , 2 unth ya Bishop, 8 pyade ya pawns hote hai . Game objective apne opponent ke raja ko sehmaat dena hota hai , jiska mtlb hai ki apne opponent ke raja ko aisi jgha pe phasana hota hai jisse wo bahar na nikal sake.
Har pieces ke Chal ne ke apne rules hote hai
raja sirf ek square me kisi bhi direction chal sakta hai
Wazeer pure board me kisi bhi direction me sidha , ya tircha chal sakta hai
Hathi kisi bhi direction me sidha chal sakta hai .
Unth kisi bhi direction me tircha chal sakta hai
Ghode ka ek alag L-shaped ka move hota hai jo ki 2 squares ek direction me and ek square un dono ke right ya left .
Payde aage ki Or ek square me chalte hai aur dusre piece ko tircha left ya right maar sakte hai and unko start me 2 square move ka hota hai.